
Mohd Ayaz Madani
✓ Verified TeacherQuran & Tajweed & Hifz-ul-Quran & Arabic & Islamic Studies & Urdu & Computer
3–5 years of experience
About the Teacher
Main aapko apne baare mein thoda introduce karna chahta hoon. Maine Aalim course complete kiya hai aur Alhamdulillah mujhe 4 saal se teaching ka experience hai. Meri teaching mein khaas tawajjoh Arabic language ko samajhne aur uski strong foundation banane par hoti hai. Sarf aur Arabic grammar ko main step-by-step aur practical tareeqe se padhane ki koshish karta hoon, taaki student sirf rules yaad na kare, balki unhein Arabic words aur ibarat mein samajh aur apply bhi kar sake. Mera teaching approach student ke level ke mutabiq hota hai. Agar basic concepts clear karne ki zarurat ho to hum wahi se start karte hain, aur agar student pehle se Arabic padh chuka ho to uske level ke mutabiq aage badhte hain. Mera maqsad sirf syllabus complete karna nahi, balki student ki Arabic samajhne, padhne aur grammar ko practically use karne ki ability develop karna hai. Agar aap Arabic aur Sarf sincerely seekhna chahte hain, to main aapke current level ko samajh kar aapke liye ek proper learning plan suggest kar sakta hoon. JazakAllahu Khairan.